NEW DELHI: Renowned poet and Bollywood megastar Amitabh Bachchan’s father, Harivansh Rai Bachchan, made a huge contribution to Hindi literature in his lifetime. A recipient of the country’s third-highest civilian honour, Padma Bhushan, Harivansh Rai Bachchan’s best works include 'Himmat Karne Walon Ki Haar Nahi Hoti', 'Agnipath', 'Ruke Na Tu' and 'Madhushala' among many others. On the occasion of his death anniversary, here’s a look at his celebrated body of work:
Madhushala
Madiralay jane ko ghar se, Chalta hai peene wala..
Kis path se jaun? Asmanjas mein hai who bhola-bhaala..
Alag-alag path batlaate sab, Par main yah batlaata hun..-
Raah pakad tu ek chala chal, Paa jayega madhushala..
Agnipath
Tu na thakega kabhi,
Tu na thamega kabhi,
Tu na mudega kabhi,
Kar shapath, kar shapath, kar shapath,
Agnipath, agnipath, agnipath
Purv Chalne Ke Batohi
Pustako me nahi chhaapi gayi iski kahani,
Haal iska gyat hota hai na auro ki zubani,
Anginat raahi gye is raha par, unka pata kya,
Par gye kuch log is par chod paero ki nishani,
Yeh nishani muk hokar bhi bhaut kuch bolti hai,
Khol iska arth, panthi, panth ka anumaan kar le
Purv chalne k batohi, bat ki pehchaan kar le
Ruke Na Tu
Dhanush utha, prahaar kar
Tu sabse pehla vaar kar
Agni si dhadhak-dhadhak
Hiran si sajag-sajag
Singh si dahaad kar
Shankh si pukaar kar
Ruke na tu, thake na tu
Jhuke na tu, thame na tu
Vishwa Sara So Raha Hai
Hain vicharte swaon sunder,
Kintu inka sang tajkar,
Vyom-vyaapi shoonyata ka
Kaun saathi ho raha hai?
Vishwa saara so raha hai.